Tuesday, December 9, 2008

The other world: Islam and Pakistan

Shahab ne Atiya ko phone kia. Aitya kehnay lagi, aap yahan aa jain, main aap ko aik bohat bari khush khabri sunana chahti hoon. jo kisi or ko nahi suna sakti. Shahab Atiya se milnay gaya to sath mujhay bhi le gaya.

Us roz Atiya baray mood main theen. kehnay lageen ajkal arsh per bohat khushian sunai ja rahi hain. charaghan ho raha hai. hazoor dulha banay howay hain. phoolon ke haar pehnay howay hain. gulab ki pattiyan nichawar ho rahi hain. sab khushian mana rahay hain.
kehtay hain islam ki nishat-e-saniya ka dor shuru honay wala hai. arsh or farsh aik doosray ke kareeb aa jayen gay. Pakistan is dor ka gehwara ho ga. wo ruk gaye, phir wakfay ke baad kehnay lagi, mainay dekha hai ke sadar-e-pakistan ki kursi khali pari hai, wahan kala jhanda laga howa hai. jo shakhs in ki jagah le ga wo bohat sakht geer admi ho ga. is ki darhi ghani hai. aankhain sabz hain. main dekh rahi hoon ke aik khooni jang ho gi. east pakistan hamaray hath se nikal jaye ga. kashmir hamain mil jaye ga. Pakistan ke ilakay main wus-at ho gi. ham Delhi per kabiz ho jain gay.
us roz Atiya baray josh main thi, wo musalsal batain kiye ja rahi thi. shahab or main chup chap baithay sun rahay thay. phir shahab bola, kehnay laga, mohtarma kuch aisi batain bhi to hain jo aap arsa-e-daraz se dekh rahi hain laikin woh wakoo pazeer nahi hotee.
haan wo boli kuch aisi batain bhi hain. laikin nashat-e-sania ki baat to ho kar rahay gi. chahay aaj ho ya chalees saal baad. or Pakistan nashat-e-sania ka markaz ho ga. ye to te shuda batain hain.
Atiya ki batain meray liye baihad paraishan kun theen. ye nashat-e-sania kya cheez hain. bhai jan bhi is ke baray main baat kia kartay thay. kaha kartay thay, tum Pakistan ka fikar na karo. Pakistan ka fikar karnay walay Allah ke banday mojood hain. tum jab bhi koi kadam uthanay lago to socho, kya mera ye kadam Pakistan ke liye bais-e-nuksaan to na ho ga.
is per mujhay khayal aata ke Pakistan ko itni ahmiyat kyoon de ja rahi hai. kya is liye k ye musalmano ka mulk hai. musalmano k to duniya main beesion mulk hain. phir ye bhi hai ke ham Pakistani to baray-e-naam musalman hain. phir ye bhi hai ke ham Pakistani to baray-e-naam musalman hain. na hamaray kirdar main islam ki jhalak hai, na aamal main islam ka rang hai. albatta aik wasf zaroor hai ke ham main islam ke liye, hazoor sal allaho alayehi wasallam ke liye, jazba mojood hai. kya pakistan ko ye sharf is jazbay ke liye hasil ho ga. ye to koi baat na hoi.

Mumtaz Mufti in Alakh Nagri

No comments: